Preservation of quran(क़ुरान का संरक्षण)Reply To All Anti Islamic Groups, Arya Samaj, Christian & Athiest(नास्तिक)

 Preservation of quran

क़ुरान का संरक्षण
قرآن پاک کا تحفظ

Reply To All Anti Islamic Groups, Arya Samaj, Christian & Athiest(नास्तिक)

Surat-ul-Hijir Aayat 9

اِنَّا نَحۡنُ نَزَّلۡنَا الذِّکۡرَ  وَ  اِنَّا  لَہٗ  لَحٰفِظُوۡنَ

بیشک ہم نے اتارا ہے یہ قرآن اور بیشک ہم خود اس کے نگہبان ہیں

Kisi Bhi Kitaab Ko Reserved Karne Ka 2 Tariqa Hai
Ek Usse Yaad(Hifz)Karliya Jaye...
Dusra Usse Likh Liya Jaye....
Quran In Dono Tareeqo Se Hi Mehfoz Hai Is Liye European Scholars Is Baat Ko Manne Per Majboor Hai Ki Ye Wahi Same Quran e Paak Hain Jo Muhammad sallahu tahla alayhi Wasallam 1400Saal Pehle Apne manne Walo Tak Pouchaye Thy...

Secound Reference

edward williams land Jo Jerman Orientalis Hai Wo Apni Book Selections From The Quran Mein Likhte Hain.
Is Quran Ke Khobiyu Mein Se Ek Khobi Ye Bhi Hai.is ke genuine(milawat)yani milawat se bache rahne mein koi shak nahi.jaisa ye quran khuda ki traf se rasool sallahu tahla alyhi wasallam ko mila unho ne usse waisa hi pouchaya or logo ne usse waisa hi likha or apne memory mein saved bhi kiya or ye quran jo aaj humlog padhte hai confidence se kehsaqte hain ki ye 1300 saal hujane ke bawajood is mein kisi kism ki koi changes nahi aaya....


Next Reference

The Collecton of the Quran Likhne Wala John Burton Hai Jis Ne Pori  Tehkeek Ki Quran ke Preserv(Mehfooz)Hune Mein Or Likhta Hai Ki.
Aaj Jo Hamre Hato Mein Quran Hai Wo Wahi Hai Jo Rasool Sallahu Tahla Alayih Wasallam Ke Jamane Mein Tha.


Next Reference

Book (The Life Of Muhammad)
writer (famous orientalist william muir)

famous orientalist william muir apni book the life of muhammad mein is baat ko qabool karta hain Ke Muhammad sallahu tahla alayhi wasallam ke parda farmane ke baad musamano mein itna ikhtelaaf ke hazrat e usman e gani radi allahu tahla ahn ko shaheed kardiya gaya.or ye ikhtelaaf aaj tak jari hain or iske bawajod sab ka quran ek hi hai.or ye is baat ka saboot hain ye wahi copy of quran hain jo hazrat e usman e gani radi allahu tahla ahn ke hukum se tayyaar karaya gaya tha..sayed pori dunya mein aasi kitaab nahi hai jiska text aaj tak itna pure baki raha..

Quran Preserve Karne Ka Pehla Tareeqa Ye Hai Ki Quran Ko Yaad karke Apne Memori Mein Save karna..Kyu Ki Kuch Sahaba Radi Allahu Tahla Ahn Ko Padhna Likhna nahi Aata Tha Wo Orally Quran Ko Yaad Karte The or Dusre Ko Bhi Jabani Yaad Karwate The Kyu Unhein Rasool Sallahu Tahla Alayhi Wasallam Ka Farmaan Yaad Tha Ki 
Hadees :         Tum Mein Sab Se Behtareen Shaks Wo Hai Tu Quran Shikhe Or Sikhaye

Dusri Baat Arbo Ka Hafiza Yani Brain Memori Bhi Buhat Teez Huwa Karta Tha Wo Badhe Se Badha Poem Ko Acchi Terha Yaad karliya Karte The.
Or mamoli Arbi Logo Ko Bhi 20 se 25 Apne Purvajo पूर्वज(Ancestor) Ke Naam Yaad Raha Karta Tha

Next Reference

Michael Zwettler Apni Kitaab The Oral Tradition Of Classical Arabic Poetry Mein
Is Baat Ko mante Hain.islam Aane per Jab Likhne padhne Ka Kafi Kam Riwaaj Tha Arbo Mein, Tu Wo Jiya Tar Apne Brain Memory Ko Istemaal Kiya Karte Thy Kisi Cheez Ko Preserve Karne Mein Or Is Baat Mein Unhein kafi Hadtak Kamyabi Bhi Mili Thi..

Is Bare Mein Sahaba Ka Hafiza Kitna Teez Tha Sahi Bukhari Mein Aata Hai Ki...
Aamr Bin Salma Abhi 7 8 Saal Ke Bacche The Or unka Ghar Ek Talaab Ke Pass Tha Waha Kuch Musalman Aane Jane Wale Aaram Hi Kiya Karte The Or Haram Ke Duran Ek Dusre ko Quran Bhi Sunate The.Aamr Bin Salma Abhi Musalman nahi Huwe The Lekin Quran Ko Sunnte Sunnte Unhe Quran Ka Accha Khasa Hissa Yaad Hu Gaya Tha..

Or Quran Khud Farmata Hain Ki
Hamne Quran Ko Samhj Ne Ke Liye Asaan Kardiya Hai.
Or jo Cheez Asani Se Samajh Mein Aajaye Us Cheez Ko Insaan Asani Se yaad Bhi Kar Keta Hain.

Or Quran Khud Gawahi Deta Hai Sura Ankaboot Mein..Ki
Ye Quran Saaf Aayat Hain Unlogo Ke Sino Mein Jinhe Ilm Diya Gaya Hai..
Yani Ye Sahaba Kiram Ki Baat Hu Rahi hai Ki Unke Seeno Tak Ye Quran Mehfoz Hai..

Imaam Mulim Ki Riwayat Mein Hai Ki Mein Tum Per Aaisa Kitaab Utaarne Wala Hu Jise Koi Pani Nahi Dho Payengha.Yani Dunya Ke Saare Pappers Se Quran Ko Mita Diya Jaye To Bhi Quran Khatam Nahi Huga Kyu Ki Ye Quran Har jamane Mein Logo Ko Word By Word Yaad Raheta Tha.
Agar Aaj Ke Jamane Mein Quran-Bible-Ved Ko Mita Diya Diya jaye To Ek Afta Bhi Nahi Lagega Quran Ko Wapas Lane Mein..

Ibne Nadeem Ne 30 Se Jiyada Shahaba ka naam Darz Kiya Jinhe Pora Ka Pora Quran Hifz Tha. 

Jang E Ma'vona mein 70 sahaba shaheed huwe jo pore ke pore quran hafiz the..or jang e yamama mein bhi 70 sahaba jo hafiz e quran the wo bhi shaheed huwe...


Or baki Shabi Bhi Aise The Jinhe Kuch na Kuch Quran Yaad Hu..
Sahi Bukhari "Kitab-janayiz" mein hai.jo shahaba shaheed hu gaye the tu ek hi qabr mein dafnaya jaraha tha tu rasool sallahu tahla alayhi wasallam pouchte jate the in mein se kise sabse jiyada quran yaad tha tu jise jiyada quran yaad rehta usse rasool sallahu tahla alayhi wasallam usse pehle dalte..
Yaha sabit huwa ki Har Sahaba Ko Kuchna Kuch Quran Yaad Tha.

Sure Toor Mein Hai...Jis mein Quran Likha jata Tha Wo Chamdhe ka Sheet Huta Tha...

4 Sahaba Aaise The Jinhone Rasool Sallahu Tahla Alayhi Wasallam Ke Jamane Mein Pora Quran Likh Liye The.or hafiz e quran sahaba tu buhat hi the.

Hafiz Ibne Qaiyum Ne 21 Sahaba Ka Naam Zikr Kiye Jo Katibe "Wahi" The..Yani Revelation Aane Ke Baad Jin Saaba Ko Likhwate The..

 Sahi Bukhari Ki Hadees mein Hai Ke jab Tum Dusman Ke Ilake Mein Jao Apne Saat Quran Ko na LE Jaya Karo..Waje Saaf Hai Hu Sakta Hai Ki Wo Quran Ki Behurmati kare..

Iske Ilawa Imaam Malik Ne apni Kitaab Mu'atta mein jirk farmaya ki quran ko sirf paak loog haat lagaye..

Jab Rasool E Paak Sallahu Tahla Alayhi Wasallam Parda Farma Ke Baad jab Kuch Huffaaz Sahaba Ko Saheed Kardiya Gaya Or unke Saheed Hune Ki Khabar Hazrat E Umar Radi Allahu Tahla Ahn Ko Mili Tu Hazrat Umar Ne Hazrat E Abu Bakr Siddque radi Allahu Tahla Ahn Ko Ye Maswara Diya Ke Saare Quran Ko Ek Jild Ke Ander Preserve Kardiya Jaye.Take Quran Ka koi Bhi part lost Hune Ke Khatre Se Hamesha Paak Hu Jaye..To Is Kaam Ko Zaid Bin Sabit Ko Chuna Gaya Tha.Zaid bin Sabit Wo Sahaba Hai Jo Rasool Allah Sallahu Tahla Alaiyhi Wasallam Ki Jamane Mein Hi Sara Quran Jama Kar Liya Tha..zaid bin sabit apne hafiza ke barose quran suro na kiye balki usne suruwat se tehkeek ki or unsari sheets jis mein rasool sallahu tahla alayhi wasallam ne likhwaye the or sirf sheet hi nahi palki pair(tree)haddi(bons)sab ko jama kiye or kayi hafiz sahaba se bhi madad liye.unse gawahi bhi liye quran ki aayat hune ki tab jakar tamaam tehkeen karne ke baad zaid bin sabit ne ek jild ke ander tamaam quran ko jama kar diya..Fir jab Hazrat E usman e Gani radi allah tahl ahn ki khilaf huwe tu isse jild ka 7 alag lag copy banwakar 7 sehro mein behjwa diye.take loog in copys ki nakal karne apne liye quran ko banale..

Ab sawaal uthta hai ki jab quran written form mein preseve hu gaya tu kya aaj bhi uski koi script copy mujood hai bhi jo rasool sallahu tahla alyhi wasallam ke dur ka hu ya nahi..
tu jawaab hain haa...
Birmingham University mein quran ka kuch fragment mila hain.jise "oxford university radiocarbon accelerator Unit" ne is ka carbon rating kiya hain.. jo 95% probability hai ki ye fragment "568 se lekar 645" tak ke bich ka likha huwa hai...
or rasool sallahu tahla alayhi wasallam ka Revelation(وحی) Aaana Soro Huwa Tha.610 mein or unka wafaat huwa tha 632A.D Mein.To ye buhat mumkin hu ki ye fragment rasool sallahu tahla alayhi wasallam likhwaye hu kisi sahaba se.
Thomas jo "birmingham university" ke professor hai unho ne BBC ko diye apne interview mein likha hai..
ke jis admi ne isse likha hai wo acche se janta huga prophet muhammad sallahu tahlaalayih wasallam ko usne rasool sallahu alayih wasallam ko dekha bhi huga unka speech bhi suna huga unse mila bhi huga unka saat bhi diya huga....
"Aap log khud sun lijiye thomas ne kya kaha video mein"


"Video Professor Thomas"

2nd Baat ye ki "the guardian"ke report ke mutabik Birmingham University mein mila huwa quran ka jo copy hai wo same hain aaj ke quran ke copy se jo humlogo ke pass hai..isse ye prof huta hai ki jo quran hamare pass hai wo pori terhe se preserve hai..khuda ka wada sachha hai.

national france paris mein bhi preserve hai or uska inventory number hain ."Arabe 328C" or is Birmingham University mein jo quran hai ka inventory number hai.arabic5072A..
Is ke ilawa quran ke or bhi manuscript hain..jaise ek hai manuscript ka inventory number hain 
"ms Qaf 47"





iske ilawa ek or manuscript hain "university of tuebingen germany"mein uska carbo rating kiya gaya hai or result aaya hai ye 649AD - 675AD ke bich mein likha gaya hai.yani rasool sallahu tahla alayhi wasallam ke 17saal se 40saat tak ke bich mein likha gaya hai..
hazrat usman radi allahu tahla ahnu ne jo 7 alag alag riyasato mein quran behjwaye the wo rasool sallahu tahla alayhi wasallam ke 20saal baad behjwaye the..tu andaja lagaya ja sakta hain ye "tubingen"ke pass jo copy hain quran ka wo hazrat e usman e gani radi allahu tahla ahn wala copy huga..

is ke ilawa "rampur raza library"india mein hazrat ali ka likha huwa quran moujood hai.jisi india ke PM narendra modi jab 2016 mein iran ke dure mein gaye tu waha ke supreme Leader ko taufe ke taur per hazrat e ali ka likha huwa quran ka ek copy banwa kar apne saat legaye..


najaf mein quran ke 600 manuscript mujood hain.


Mein 50 Se jiya details Quran ke inventory number ke saat de raha hu..jo first century hijri mein likha gaya tha..is se andaja laga lijiye ki first century mein itna jiyada manuscript hai to baki ki century mein kitna hugha...



Post a Comment

0 Comments